friends pichle post me hamne blog ko google par submit & verify karne ke bare me complete information diya tha, I hope ki isme apko koi problems nahi aya hoga. aaj ke post me ham janenge ki blog ke liye sitemap kaise banate hai, iske liye internet par bahut se tools mil jayenge, but is post me apko online sitemap generator ke bare me bata rahe hai, jo free me apke blog ka xml sitemap banakar dega.
sitemap kya hai?
two types of sitemap- 1. Xml sitemap 2. Html sitemap
xml sitemap – ye apke site me jitney bhi post, pages hai uska .xml file hota hai, search engine bots ko apke post, new updates ke bare me batata hai, ye visitor ke liye nahi hota, but search engine sitemap ke through apke site ko achhe se crawl karta hai.
according to expert, agar apka post proper index ho rahe hai to, sitemap ki jarurat nahi hoti, but apke post 100 se jyada hai to apko sitemap submit karna chahiye aur blog footer me sitemap ki link bhi dena chahiye.
Html sitemap – ye visitor ke liye hota hai, isse apke sabhi post ek jagah par honge aur visitor easily apke sabhi post ko read kar payenge. Aap ise bhi apne blog me laga sakte hai, isse visitor apke blog ko achhi tarah navigate kar payenge.
So friends, short me aap xml aur html sitemap ko samajh gaye honge, now apko online xml sitemap banane ke bare me batayenge.
Blog/website ke liye sitemap kaise banaye, sitemap generator se
Sitemap banane ke liye ham online sitemap generator ka use karenge, frist aap yaha se site par jaye, isme apko detail fill-up karna hai.
- apne blog ka url bhare.
- change frequency – isme always set kar de.
- last modification – isme use server’s response set kar de.
- priority – automatically calculated priority set kare.
- finaly start par click kare.
Screenshot ki help le sakte hai.
Next step me apka sitemap genrerate hona start hoga, isme kuch time wait karne ke baad apka sitemp create ho jayega, aap ise download kar skte hai. isme apko sitmap ka url milega example – http://apkahindiblog.com/sitemap.xml, like screenshot.
Apne sitemap ke is url ko apne google search console me login karke add kar sakte hai, ise bing webmaster par bhi use kar sakte hai.
So friend, is tarah ham online sitemap generator ki help se apne blog/website ke liye easily sitemap bana sakte hai, aur google, bing search console par submit karke blog ki activity jaise- index status, error, ko easily monitor kar sakte hai.
Ye short but important post apko kaisa laga, comment karke jarur bataye, agar koi question or confusion ho to, to bhi comment box ka use kare.
Request- Apko ye post helpful lage to, share jarur kare, Thank You.