Hello Friend’s aaj sabhi ke paas ATM (Automated Teller Machine) card hoga, almost sabhi bank apne customer ko ye suvidha de raha hai, ye jaruri bhi hai, banking ko easy banane me, aur ham sab iska profit le rahe hai, ham kisi bhi branch se paise nikal sakte hai, jo ATM ki suvidha provide karta ho, account open karte samay bhi iska option choose karne ke liye form me hota hai, aaj chahe vo padha likha ho ya anpadh sabhi ke pas ATM mil jayega, but iski suvidha jitna achcha hai, iski security bhi utni hi badh jati hai, kya ham ATM card ki security aur ATM fraud se savdhan hai? aaj iski security par kuch important tips lekar aaye hai jise apko jarur dhyan se padhna chahiye.
ATM card use karte samay ye savdhani baratni chahiye.
aksar ye dekha jata hai ki jab hame ATM par paisa nikalna hota hai, tab kisi bhi ke samne apna atm card use karte hai, agar aap aisa nahi karte to bahut achchi baat hai, but mostly ham is or dhyan nahi dete, sochte hai kuchh nahi hoga, but problems bata kar nahi aata, kuch bate hai jinhe apko dhyan rakhna chahiye, jab aap ATM par jaye aap sure ho jaye ki aapke aas-pas koi na ho yani aap ATM par akele hi use kare, jaldbaji me nuksan hame hi ho sakta hai.
aksar ham kisi aur ki help lete hai jo aas-paas ho, ye kabhi na kare, agar ATM use karne me pareshani ho to apne pehchan ke vyakti se hi help le ya ATM me rahne wale gaurd se madad le sakte hai. kisi unknown se help kabhi na le.
ATM card ke liye jaruri ye savdhani.
- apna pin bich-bich me number badalte rahe.
- apna account par mobile number SMS ki suvidha rakhe, taki apki har transaction ka detail apko milta rahe.
- apna ATM card number aur pin-number kisi ke sath share na kare.
ATM card se Related Fraud Call se Savdhan.
most important jankari ki aap ATM card se related phone calls se savdhan rahe, aaj every day hackers ATM user ko phone call kar rahe hai ki apke ATM card expiry ho gaya hai, renewal karane ke liye apki detail chahiye. aap apne dost, relatives aur sabhi ko ye jankari de dijiye ki aise calls par kisi bhi tarah ki janakri nahi dena hai, apke 16 digit card number se bhi hackers apke accounts me problems kar sakte hai. kyonki banks aise kisi bhi ki jankari nahi mangta.
hacker apke detail lekar apke account se sare paise gayab kar dega, yani vo kisi shopping site se apke sare paiso se shopping kar dega, apko niche ek audio bhi de raha hun jise jarur suniye, ki hackers kis tarah apka information phone call karke mangte hai.
is tarah kuchh savdhani rakhe aur ATM card ko safe rakhe, easy banking ka labh le, apko kuch janakri diya gaya hai jise EK ATM card user ke taur par apko jarur janna chaiye, apko ye janakri kaisa laga, ya kuch sawal ho, apke sujhav ho, ya security se related aisi baat jo is post me na ho use comment karke jarur bataye,
comment kaise kare- LEAVE A REPLY box par jaye
- Comment - is box me apna sawal, sujhav, ya security tips likhe.
- name - isme apna naam bhare.
- e-mail - apna e-mail address bhare.
- website - agar apka koi website ya blog ho to yaha uska url bhare, nahi hai to ise blank rahne de.
agar aap sabhi comment aur sabhi new janakri ko email se prapt karna cahte hai to Notify me of follow-up comments by email aur notify me of new posts by email ke aage box par tick laga de. Thanks
Nice work !
Thanks Bro
Bahut Badhiya Jankari. Har kisi ke kaam aane wali jankari. Nice keep it up.
Thanks
useful information thanks bhai..
Thanks Vicky Ji
bahut hi badiya post aapne likha hai. aapka ye post padh kar maza aa gaya. mai ummed karta hu ki aap aage bhi isi tarah ke post likhte rajege. thanku so much iss post ko share karne ke liye..
Thanks Suresh Ji
Badiya post hai ATM use karte samay dhyan rakhne ke baato ko achi trike se samjaya hai aap ka likhne ka trika bhi acha hai !!!!
thanks vijay
ATM deactivet ho gya hai activet kaise hoga
sir Contact Your Branch
Nice post .thenkyou so much
Thanks Ahmed Ji