Hello friends, Nsdl se related information apke liye post kar raha hun, pichhle post me apko nsdl cra account par login karna aur nsdl account ka password reset karna bataya tha, agar apne nahi padha hoga to aap padh sakte hai, NSDL subscriber ke liye useful hai. aaj ka post s2 form fill-up ke bare me hai.

Ham dekhte hai ki hamare nsdl account me bahut sari mistakes hota hai, jaise personal information, Nomination detail, date of birth, ise correction/ change karne ke liye hame kya karna padega, ye sabhi janakri is post me hai.

Bahut se logo ka I-PIN aur T-PIN nahi hai, ya to mila nahi hai, ya kahi gum gaya hoga, PRAN Card nahi hone ya gum jane ki bhi probms bahut se logo ki hai, iske liye kya kare, iski bhi janakri is post me diya gaya hai.

Aaj ke post me iski sabhi janakri apke liye post kar raha hu, jisse aap apna detail sahi kara sakte hai, iske bare me bahut se logo ne mujhse pucha tha, isme se ek hai Chhattisgarh se Mukesh Mudaliar, so aaj ka post un sabhi friends ko dedicate hai, jinhone mujhese iske bare me janakri mange the.

S2 form kya hai?

Nsdl account me personal information, Nomination detail aur date of birth me kuch mistake ho to ham s2 form ke through correction kar sakte hai, i-pin, t-pin aur pran card Reissue ke liye bhi ham s2 form ka use karte hai hai. short word me s2 form ka use aap samajh gaye honge.

Now ham apko batane ja rahe hai ki s2 form kaise bhare, isme kya bharna hai aur kaise bhrna iski complete information apko de raha hun, jisse aap easily form fill-up karke submit kar sakte hai.

S2 form kaise bhare?

S2 form alag-alag correction/reissue ke liye alag-alag box ko bharte hai, apko s2 form ka download link bhi aage diya hun, aap download kar print kara sakte hai. to apko ek-ek karke puri jankari provide kiya ja raha hai, aap carefully read kare.

Personal detail correction/change ke liye form kaise bhare?

Note- form ko black ink and block letters(bade akshar) se hi bhare

Apko apna personal detail correction karana hai, ya change karana hai to aap s2 form ke main page ko pahle fill-up kare, isme apko sirf 2 kary karna hai.

  1. A – isme tick mark laga dijiye.
  2. apko 12 digit ka PRAN number bharna hai.

Aap iske liye niche screenshot ki madad le sakte hai.

Ab apko section A me jana hai, apko yaha pura detail bharna hai, isme apko jo bhi correction(sudhar) karna hai, use fill-up kar de, iske liye aap s2 form me diye gaye instruction ki bhi help le sakte hai.

Form fill-up karne ke baad nirdharit sthan par, responsible officer ka sign karakar submit kar de, after some days apka detail correction/change ho jayega.

Nomination Detail correction/change liye form kaise bhare?

Iske liye apko same jaise apne pahle kiya tha, aap iske liye bhi frist page me-

  1. B – isme tick mark laga de.
  2. 12 digit ka PRAN number bhare.

Apko screenshot me bataya gaya hai. aap ise dekh le.

Now apko section B me jana hai, yaha apko pura detail bharna hai, apko nomination detail correction karna hai ya change karana hai, apko present ka information fill-up kar dena hai, simple.

Form me apke officer ka sign karake, submit kar de, apka nomination detail change/correction ho jayega.

I-PIN/T-PIN Reissue ke liye form kaise bhare?

iske liye bhi simple work karna hai.

  1. C- is par tick mark laga de.
  2. 12 digit ka PRAN number bhar de.

You can See screenshot.

Ab apko section C me jana hai, yaha apko kuch bharna nahi hai, simple aap agar i-pin chahte hai, to iske box me tick laga de, agar aap t-pin chahte hai to iske aage box me tick laga de, dono chahte hai to dono par tick mark laga de.

Aage aap apne officer ka sign karake submit kar de, apko new I-PIN aur T-PIN kuch dino me by post mil jayega.

Note- I-PIN aur T-PIN reissue ke liye Cra Charge karta hai.

PRAN card Reissue ke liye form kaise bhare?

  1. D-iske aage tick mark laga de.
  2. 12 digit ka PRAN number enter kar de.

Ab apko section D me jana hai, yaha bhi apko kuch fill-up nahi karna hai, sirf waha tick mark laga dena hai,

apne officer ka sign karake submit kar dena hai, apka pran card by post apko mil jayega.

Note-PRAN card reissueke liye bhi CRA charge karta hai.

Date Of Birth change/correction ke liye form kaise bhare?

Iske liye simple aap main page me ye kariye-

  1. E- iske aage tick laga de.
  2. 12 digit PRAN card bhare.

Now go to section E, yaha apna date of birth bhare, aur wih date apna sign kare. Date of birth correction ke liye subscriber ka sign important hai.

Apne officer ka sign karake submit kar dijiye, apka date of birth apke nsdl account me correction ho jayega.

Apko s2 form apke office se mil jayega, ya aap nsdl cra ke site se online download kar sakte hai, apki suvidha ke liye maine yaha bhi apko s2 form download karne ki link de raha hu, aap download kar print kara sakte hai.

Apko maine s2 form fill-up karne ke bare me step by step information diya hai, agar apko koi problems ho, ya kuch confusion ho to comment box me puch sakte hai, apko jitna jaldi ho sake reply karunga.

Ye post apke liye helpful lage, to ise share karke dusre nsdl subcribers ki bhi help kijiye. Thank You

20 COMMENTS

    • iske liye aap apne NSDL account par login kijiye, aur Grievance section me name correction ke liye request form submit kijiye, isme aap application file upload bhi kar sakti hai. apke request status janne ke liye toll free number 1800 222 080 par call kar sakti hai, ya aap apne account ke Grievance section me status pata kar sakti hai. agar koi aur problem ho to aap mujhse free mind puch sakti hai. thank you

  1. आशीष सर नमस्कार मेरा नाम तुका राम वर्मा है मेरा ppan नम्बर 511300514 है।इस नम्बर में किसी दूसरे को प्राण किट जारी हो चूका है मै बहुत कोशिश क़र रहा हु पर सफलता नही मिल रहा है मैं क्या करू की मुझे मेरा प्राण नम्बर मिल सके मेरा उच्च अधिकारी भी कुछ नही कर रहा है ।मैं टीचर हु।

    • Verma sir, apke employee code se dusre ka PRAN number Generate ho gaya hai, to aap us person ka pata lagaiye, iske liye aap info@nsdl.co.in par e-mail karke pata kar sakte hai. pata lagne par us person ke employee code se apne detail me pran number generate kara lijiye, fir dono ka pura detail(with employee code) correction kara sakte hai.(same case me, is method se mere ek friend ne apna PRAN number generate karaya tha) Agar koi aur problems ho to free mind puch sakte hai, apki help karne ki puri koshish karunga.thanks

  2. आदरणीय साहू जी नमस्कार, मेरी पत्नी जोकि टीचर है आज तक उनका प्रान नंबर नहीं आया है, कइ बार फार्म डालने के बाद भी समस्या जस का तस है अब पता चल रहा है कि मैंडम के इम्प्लाई कोड से दूसरे टीचर को प्रान जारी हो गया है, उस टीचर का पता भी चल गया है. .पर समस्या का हल नहीं निकल रहा है,कुछ उपाय बताएंगे… .

  3. Comment:सर नमस्कार,
    सर जी मै टीचर हुं मेरा पता मे छत्तीसगढ़ के जगह पर चंडीगढ़ लिखा हुआ है, क्या करूं?

  4. आदरणीय साहू सर सप्रेम अभिवादन,
    मेरा प्रान कार्ड एवं आई पिन पत्र खो गया है। क्या मै एक ही s2 form से दोनो को reissue करा सकता हूँ एवं इसका शुल्क कितना लगेगा? कृपया मार्गदर्शन करें.। मैं आपका अत्यंत आभारी रहूँगा। धन्यवाद

    • देवांगन सर, आप एक ही फॉर्म से दोनों के लिए आवेदन कर सकते है। शुल्क की जानकारी के लिए आप 1800222080 पर कॉल करके पूरी डिटैल ले सकते है। कोई और परेशानी हो तो आप पुनः मार्गदर्शन ले सकते है।

  5. सरजी नमस्कार।मेरा मोबाइल नम्बर गुम गया हैं, और दूसरे को वह मोबाइल नम्बर issue कर दिया गया हैं।मेरा अकाउंट लॉक हो गया हैं।मै अपना अकॉउंट कैसे खोलू व नया मोबाइल नम्बर कैसे feed करू,मार्गदर्शन दे।

  6. Sir meri wife ko varg 1 me 3 saal ho gye hai pran no sms se mil gya tha lekin kit abi tak nahi mila hai.aur abi tak paisa bhi katna chalu nhi hua hai
    Online check karne par praan no k user ko inactive bata rahe hai. Kripya kuchh upaay bataye

Leave a Reply